Nanhi si hasi, bholi si khushi, phoolon si wo baahein bhool gaye
Jab desh ne di aawaz humein hum ghar ki raahein bhool gaye
Hum soye nahin kayi raaton se ae jaane watan sau chaand bujhe
Humein neend ussi din aayegi jab dekhenge aabaad tujhe …
Teri mitti me mil jaawaan
Gul banke main khil jaawan
itni si hai dil ki aarzu….
Teri nadiyon me bah jaawaan
Tere kheton me lahraawaan
Itni si hai dil ki aarzu…
Majboor hui jab dil ki duaa to humne dawaa se kaam liya
Wo nabz nahin phir thamne di, jis nabz ko humne thaam liya
Beemar hai jo kis dharm ka hai..humse na kabhi ye bhed hua...
Sarhad pe jo wardi khaki thee, ab uska rang safed hua.
Teri mitti me mil jaawaan
Gul banke main khil jaawan
itni si hai dil ki aarzu….
Teri nadiyon me bah jaawaan
Tere kheton me lahraawaan
Itni si hai dil ki aarzu…!!!